TAYYAMUM (masala # 674 to 689-ayatullah sistani’s tauzeeh 2008 edition)
Things on which Tayammum is permissible Details
Jin cheezon par tayyamum karna sahih hai
1. Matti (Agar in may koyi aisi cheez mili ho jispar tayyamum jaiz nahi masalan ghaas, to is par tayyamum jaiz nahi LAIKIN Agar woh cheez itni kam ho ke na hone ke barabar ho to us par tayyamum sahih hai)
2. Bareek bajri (jisko matti kaha jasake)
3. Dhele
4. Rait (Agar in may koyi aisi cheez mili ho jispar tayyamum jaiz nahi masalan ghaas, to is par tayyamum jaiz nahi LAIKIN Agar woh cheez itni kam ho ke na hone ke barabar ho to us par tayyamum sahih hai)
5. Pathar
6. Ehtyat e Mustahab ki bina par ikhtiyar ki halat main in par tayyamum na kare:
Jipsum + paka jipsam
Choone ka pathar
Gard o Ghubar jo qaleen, kapde etc par jama hojati hai( jo urf may matti shumar ho)
Pakki eent
Ma’adani pathar (aqeeq waghaira)
IF YOU CAN NOT GET ANY OF THE ABOVE THINGS FOR TAYYAMUM THEN:
7. Tar matti (Agar use khushk karke sookhi matti hasil karsakta ho to tar matti par tayyamum batil hai)
IF YOU CAN NOT GET THE ABOVE THINGS (TAR MATTI) FOR TAYYAMUM THEN:
8. Ghubar jo narm matti na kehlaye (Agar kapda, qaleen etc jhaar kar matti muhayya hosakti ho to jama huwi gard par tayyamum batil hai)
NOTE: Agar in may say koyi cheez dastyaab na ho to Ehtyat e Mustahab ki bina par baghair tayyamum namaz parhe—aur wajib hai ke baad main namaz ki qaza kare.
FEW RELATED MASAIL:
Ref of english terms: www.al-islam.org, islamic laws (Ayatullah sistani)
matti: earth
rait: sand
dhele: lump of clay
pathar: stone
choone ka pathar: limestone
ma’addi pathar: mineral stones
tar matti: mud
gard o ghubar: dust particles
narm matti: soft earth
ghaas: straw
ghasbi: usurped
garhe: pit
raaste ki matti: street dust
shoor zameen: saline earth
namak ki teh: layer of salt